Hate Shayari

Hate Shayari

PAGE=6

Hadsa
By :Gagan (Views : 738)

Hadsa ye bhi huaa hai ab ke
Dil tujhe bhul gaya hai ab ke
Saath chalte the gai waqton me
Aur rasta hi juda hai ab ke
Mene to Aap khurach dalen hain
Her koi zakhm hara hai ab ke
Apni janib hi nikal aai hain
Ye safer khub raha hai ab ke
Ye mere saath hi ab jai ga
Dil me jo dard uth ahai ab ke

 

Adhoore Khwab
By :Gagan (Views : 777)

Adhore khuwab ke ander
kabhi palken beechana mat
adhure khuwab aankhon ko bohat takleef dete hain
adhuri yaad ko dil ki zamin me tum nahi bona
adhuri yaad dharkan me bohat chubti, sisakti hai
khalish ban ker khatakti hai
lahu me bijlian ban ker bhatakti hai
adhure pyar ko.....lekin chalo jane do isko tum
Mohabat, pyar, chahat, Ishq hote hi adhure hain .......

 

Nice3
By :Gagan (Views : 877)

ludti rehi sanu larian de nale ni,
yaari tu pave tarian de nale ni,
neend teri piche raatan di gevake,
das sanu ki milia tere nal mohobbeta pa ke .......

 

Pal Bhar Ko Hamara Sath
By : Gagan (Views : 1904)

Pal bhar ko hamara sath unhe gavara na tha,
Ye dil bhi unko diya jo hamara na tha,
Mehfil se uth kar unki na jate,
Magar usne pukara hame phir dobara na tha,
Ek unhi ke asre ji rahe the hum,
Jinka kabhi hame sahara na tha,
Aaj usne bhi begana karar hame diya,
Jo kabhi hamare liye paraya na tha,
Jinhe sukoon na mila hamare pyar mein,
Kabhi jahan mein unse hame koi pyara na tha.

 

Kaise Sakoon Paoon
By : Gagan (Views : 907)

Kaise Sakoon Paoon..
kaise sakoon paoon jo tumhe na dekh paoon
kaise dil ko samjhaoon, jo tumhe na pass paoon

satatee hai mujhe meri apni hee wafain
dil ko aa jaata sakoon jo milti teri wafain

tadpaati hain yaadein aur berang hain nigahein
apne dil ke zakhm, kis kis ko mai deekhaoon

teri bewafai ko log kehte hain teri majboori
mai apni majboorian kahan tak ginaoon

meri wafaon ka mujhe ye sila mila hai
muffat mei huey badnaam aur dil chhalni hua hai

mila ke najar ab tumse aur kaun se gazal sunaoon
kaise sakoon paaon jo tumhe...

Hamsafar
By : Gagan (Views : 866)

mujhe kya pata tha ki tu meri
takdeer mein nahin hai,
varna haath ki lakeeroin mein
teri bhi ek lakeer bana lete

tu mujhe nahin mili,mili hoti to,
sari duniya ko apna pyar dikha dete

na jane kab aakar tu nikal gai,
hum to teri rah dekhte reh gai

tute sheeshe ke har tukde mein
tujhe talaasa tu na milli,
hum to sirf tukde ginte reh gai. |

 

Pain
By : Gagan (Views : 1140)

Wakt tho hume bhula chuka hai,
Mukkardar bhi na bhula de,
Pyaar hum isliye nahi karte,
darte hai koi phir se na rulade.

Na jane yeh aakhen kyun udaas rehti hai,
Na jane inhe kiski talaash rehti hai,
Ye janker bhi ki who kismet mein nahi hai,
Fir bhi unhe pane ki aas raheti hai.

Bahut kareeb se dekha hai iss bewafaa zamane ko,
Ab dil nahi karta kisi se dil lagane ko.

Tadap ke dekho kisi ki chahat main
to pata chale ke intezar kya hota hai,
yu hi mil jaye koi bina chahe
to kaise pata chale ke pyaar kya hoto hai.

Pathar ki pooja kar baithe hum naadan the,
Teri aadat teri fitrat se aanjaan the,
Waqt ne humko khilona bana diya yaaro,
Varna hum bhi mehfil ki jaan the.

Sitam ko humne berukhi samjha,
Pyaar ko humne bandage samjha,
Tum chahe humein jo bhi samjho,
Humne to tuhme apnaa samjha. |

 

Malaal Hota Hai
By : Gagan (Views : 657)

Khud sey aksar poochta hun do ghari saath diya to kaisa,
Woh dukh woh ghum diya mujh ko jo mein ney kabhi saha nahin.

Aankh kabhi meri pur-nam na thi,
Abb Dil weeran weeran sa ho gaya.

Khud per bay had malaal hota hai,
Jis ka saath do ghari ka tha,
Kyun usay sadioun tak apnaney ka,
Pagal dil ney irada kiya tha.

Thokar lagi to samjha,
Koi kisi ka hamesha nahin hota. |

 

Achaa Tha....
By : Gagan (Views : 695)

Mohabbat k yeh silsilay gar chaltay to acha tha
Yun bicharna tha gar mil k, na miltay to acha tha

Jo tootni thi mohabbat kache dhagey ki manind
Yeh chahatoun k qaflay na chaltay to aacha tha

Mager phir bhi Dil-e-nadan,gareeban chak honey per
Dostoun k yeh tanay na miltay to acha tha

Woh parday ki chilman sey muskura ker dekhna
Mujhey unn k yeh irshad na miltay to acha tha

Unhein ehsaas ho gaya k mein ghareeb hun lekin
Woh meray gher k nazaray na kertay to acha tha

Hota yehi behtar k hum anjaan hi rehtay
Haey tujh sey yun wastey na pertay to acha tha |

 

Takleef Meet Gayi...
By : Gagan (Views : 619)

Takleef meet gayi magar ehsaas reh gaya, khush hu kuch to mere pass reh gaya
Ehsaas bhool jata hoon magar bhool ta nahin, woh lamhe jo janaza tha bahar ka
Main to bujhta huwa shaamma hoon apni cherag ka
Zindgii hain aur dil yeh nadan hain, kya safar hain aur kya samaan hain
Mere gham ko bhi samajhkar dekhie muskuradena bahat ahsaan hain

Jal Chukay Hein
By : Gagan (Views : 541)

Kunwari khuahishoun mein Jal chukay hein
Woh ghar jo barishoun mein Jal chukay hein

Kahin lambay safar per hongay ya phir
Parinday ghousloun mein jal chukay hein

Bachay they hasratoun k phool jitnay
Woh bhi raastoun mein jal chukay hein

Woh jin peroun pey haryali buhat thi
Suhaney musamoun mein jal chukay ehin

Fana honey ko hein andheray
Deay sab aanganoun mein jal chukay hein |

 

Junoo-ne Shauk Ne
By : Gagan (Views : 493)

Junoo-ne shauq ne diwana kar diya hai hame
Unhi kaa zikr aaj har ek shay mai hum pate hai

Takliyat ki duniya mai aake wo aksar
kabhi haste hai, kabhi hum ko wo rulate hai

Kategi kaise shabe-gham hamari ay Azmat
Wo yaad aate hai jitna unhe bhulate hai |

 

Kaise Ajab Baychanee, Kaisee Bayqarai Hai
By : Gagan (Views : 440)

kaisee ajab baychanee,bayqarari hai
na chahte huee b kheal aun ka ata hai

rahtee hai wo kidhar janta tu nahi
per kochae dil mai aksar wo aata hai

kya karoo kya ker sakta hoo akhir..!
phir keun wo rotha chahra nazar ata hai

paas reh ker b wo mera apna na tha..
aise baybasee per apni rona aata hai

us ko kaisee batlaoo yeh mai akhir
lakh chahroo mai b chehra nazar us ka ata hai

apna to bus aik hee kehna hai jaan
gham deay jayoo bholana hum ko aata hai |

 

Milta Tha Mujh Se
By : Gagan (Views : 556)

milta tha mujh se woh kabhi pal pal ki farq see
phir rafta rafta farq saloon main aagya
phir yoon howa ki ankoon main ansoo a gaye
cehra jo kabhi us ka khyalon main a gya

mohabbat dhoka hai fareeb hai
arzoo ki is fareeb main anna nahi
jo kush rehna ho zindagi main tumko
tuu dil tum kise se kabhi lagana nahi

ek sheks ki kho jany ka dar kion nahi jata?
yeh bojhh mere dil se nikal kion nahi jata
manzil pe pohanch ker ussy khona hi paryy ga
yeh tyy hai tu shoq-e-safer kion nahi jata

milny ki tarah woh hum see pal baher nahi milta
dil uss see mila jiss se muqader nahi milta

tere dil main hai kash-ma-kash tujhy sochna muhaal hai
tujhy ek "haan" se gureez hai mere zindagii ka sawal hai |

 

Kaante
By : Gagan (Views : 548)

Agar Suraj Na Hota To Ye Chand Taare Na Hote,
Mohabbat Na Hoti To Tum Mere Aur Hum Tumhaare Na Hote,
Teri Mohabbat Na Milti Humen To Ye Zindagi Ke Haseen Nazaare Na Hote,
Tere Gum Mein Saath Nibhaane ka Vaada Hai Humaara,
Hum Isliye Karte Hain Tere Gum Ki Parvarish,
Kyun Ki Kaaton Ke Kharidaar Saare Nahin Hote!!

Tum Hi
By : Gagan (Views : 544)

jab door hi jana tha to paas aaye kyun the,
mere liye pyar bhare tohphe laye kyun the.

saath chalte chalte akele muudh gaye,
kyaa yahi vo vade the jinhe nibhane aaye the.

tumhi ne mere maan ke aandheroin mein chiraag jalaye the,
naa tha koi paas mere,tumhi khamosh jindagi mein halchal laye the.

tumhi to the jo dhoop mein bankar meri parchaii aaye the. |

 

Tarapta Raha
By : Gagan (Views : 501)

Mein Tarapta raha, Sisakta raha
Uss ki beyrukhi sey marta raha

Tujhe kya pata tujhe kya khabbar
Mein kahan kahan bhatakta raha

Jo naseeb mein tah who mila nahin
Tujh ko khoo ker haath malta raha

Uss beywafa ki beywafai per
Aashkoun ko chor, dil sey rota raha

Mera yeh armaan meri qabar tak gaya
Who dulhan aur mein dulha banta raha

Array deep kya jalay ga
Jo Zindagi bher mein jalta raha |

 

Yeh Khamoshi
By : Gagan (Views : 529)

aaj mere chanchal man pe
kaise khamoshi chayi hai
youn lagta hai
khule aasman par
kali ghata ghir aayi hai

suraj ki roshini
madham madham dikhti hai
muskurahat jo sajti thi
labon par
kitni thaki si lagti hai

aaj khusiyon ne yeh
kaisi ki bewafai hai
youn lagta hai
aansoun ko jaise
kaid se mili rihai hai

chand bhi jaise
mujhko mu chidata hai
taron ke sang bahen dale
aasman main
kaise firta itrata hai |

 

Bereham
By : Gagan (Views : 566)

Dardbhare nagmon se pighla na sake unko..
Patthar ke bane hai, mome banasake na unko.
Iltejaaonse jallad bhi kabhie, kabhie maaf kardethe hain.
Woh rula rulakar bhi baaz na aaye humko. |

 

Dil Toota
By : Gagan (Views : 916)

Dil toota sab armaan toote
Saabit huwe vaade jhoothe
Aaine mein joh the chehre
Abh bikhre hain tere mere

Jeene marne ki khayi thi
Kasme has ke tumne humne
Kahan kho gayi khushiyan apni
Pehra daala hum par gham ne.

Mera Daaman
By : Gagan (Views : 443)

mere daaman ke sitare bhi
mujhe jala jaate hain
mujhe khabar bhi nahin hoti aur
mere armaan
auron ke kadmon ki dhool ban jaate hain |

 

Khalipan
By : Gagan (Views : 420)

khali khalipan

khali pyala
sile lab
bujha man....khalipan

nam aankhen
jhuke nayan
dhundhla darpan....khalipan

udaas chehra
bojhil tan
khoya apnapan....khalipan

akeli shaamein
soona ghar aangan
tanha jeevan....khalipan |

 

DiL SE !
By : Gagan (Views : 512)

Aaj tum ko mae ek sach batata hoon
ke mae tum ko dil se chahta hoon

Tere yaad raat bhar ati hai
phir yonhe din bhar satati hai

Tumse baat ker ke lagta hai aaise
sehra mae khilay hoon phool jaise

Jee chahta hai tum ko apna bana loon
duniya ki nazroon se tum ko churaloon

Kor-e-kaghas ki tarah dil tha mera
jis mae shayad ata nahi kabhi sawera

Tumse pyar ker ke likhi hai mae ne ek aaise dastan
jis ka kabhi nahi tha mujh ko waham-o-guman !!! |

 

Kalakaar
By : Gagan (Views : 371)

palkon se hokar guzarte hain
mere aansoon jab chalakte hain
geet ban jaate hain

siski jab ubharti hai
hothon par sajti hai
sur ban jaate hain

dil jab rota hai
zoron se dhadakta hai
tal ban jaati hai

thokar jab lagti hai
khoon bahne lagta hai
rang ban jaata hai

aate jaate log
theher jaate hain chand pal
aur yeh kejhkar chale jaate hain
bhai wah! kya kalakaar hai |

 

Mere Sapne ........dreams
By : Gagan (Views : 416)

ek sapnaa mera yu bikhar gayaa....
jaise bikharte hai ret ke teele
bikhar jaati hai rajni saangh per
paani jaise bikhar jataa hai kaanch per
mom bikhre jaise aanch per
chand kaagaz bikhre jaise diwaan per

ek sapnaa mera yu tut gayaa.....
jaise tutaa hai aakash se koi taraa
tut jaati hai jaise ye jeewan dhara
haatho se tuti hai jaise chudiyaa
tuti hai jaise lakdi ki seediyaa

mer ek sapna yu kho sa gayaa....
jaise kho jataa hai koi bheed me
kho jaae khilone haath se kisi bache ke
kho jaae bude ke haatho jaise jawaani
bhul jaaye kisi ke marne per koi ronaa

Mai milugaa fir ek din tumhe
jaise miljaatee hai koi
barso puraani akhbaar
radee se


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter


Disneyland 1972 Love the old s